be-qasd safar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
phir ḳhud hī Thahar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ham pyaar se jiine kī duā dete haiñ jin ko
vo log bhī mar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kuchh log tujhe dekh ke ai fasl-e-bahārāñ
bā-dīda-e-tar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik vahm samajhte the haqīqat ko jo kal tak
ab ḳhvāb se Dar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
utre hue chehroñ ko bhī ye kahte sunā hai
kuchh ham se bhī Dar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ik silsila ashk hai shabnam magar is se
gulzār nikhar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
manzil kī taraf rāh-e-mohabbat ke musāfir
be-raḳht-e-safar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kuchh dekh ke kuchh soch ke kuchh log jahāñ se
chup-chāp guzar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
kashtī ko Dubo kar usī kashtī ke muhāfiz
ḳhud paar utar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
ghar meñ koī ārām kī sūrat nahīñ phir bhī
thak-hār ke ghar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ
haañ aks-e-ruḳh-e-sañg-zada se bhī to ai 'lais'
ā.īne sañvar jaate haiñ ma.alūm nahīñ kyuuñ