Lais Quraishi

nahin ye baat ki parwaz ka irada nahin

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
nahīñ ye baat ki parvāz kā irāda nahīñ
fazā-e-gulshan-e-hastī magar kushāda nahīñ
mizāj-e-ishq to apnā hai e'tidāl-pasand
yahī ravish hai kabhī kam nahīñ ziyāda nahīñ
ḳhizāñ meñ bhī mirā nashsha utar nahīñ saktā
ki ye hai josh-e-junūñ koī josh-e-bāda nahīñ
shu.ūr-o-fikr meñ āzād hai mizāj mirā
mire badan pe kisī aur kā labāda nahīñ
nigāh chāhiye tahrīr ho ḳhafī kī jalī
kitāb-e-zīst kā koī varaq bhī saada nahīñ
rah-e-hayāt meñ dānista misl-e-sham.a jale
hamārī zaat kā īsār be-irāda nahīñ
na zād-e-rāh kī ḳhvāhish na rāhbar kī talab
hamāre vāste dushvār koī jaada nahīñ
paḌā jo vaqt to ġhairoñ ne merā saath diyā
mire sharīk mire ahl-e-ḳhānvāda nahīñ
bisāt-e-dahr pe kyā chaal kāmyāb chale
tirī nazar meñ agar azmat-e-piyāda nahīñ
jahāñ meñ milne ko milte haiñ yuuñ to sab se 'lais'
magar kisī se bhī maqsūd istifāda nahīñ
Top Urdushayar.com