Lais Quraishi

tumne bhule se kabhi ye nahin socha hoga

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
tum ne bhūle se kabhī ye nahīñ sochā hogā
ham jo bichhḌeñge to kyā haal hamārā hogā
aa ga.e ho to ujālā hai mirī duniyā meñ
jāoge tum to añdherā hī añdherā hogā
ye na kahiye ki mirī aañkh se Tapkā aañsū
chhoḌiye bhī koī TuuTā huā taarā hogā
kyā ḳhabar thī kī tire shahr se pahle ai dost
raat aa jā.egī aur raah meñ dariyā hogā
ḳhvāb lab ḳhvāb jabīñ ḳhvāb adā ḳhvāb hayā
itne ḳhvāboñ meñ koī ḳhvāb to sachchā hogā
dil ke ā.īne meñ kar aks-e-tamannā na talāsh
tū muqābil hai to hairat ke sivā kyā hogā
paikar-e-ishq to farhād bhī thā majnūñ bhī
aur vo shaḳhs ki tū ne jise chāhā hogā
aaj to ḳhush huuñ bahut ḳhush huuñ bahut hī ḳhush huuñ
is tasavvur meñ maiñ kaañp uThtā huuñ kal kyā hogā
ek vo haiñ jinheñ ḳhalvat meñ bhī lutf-e-jalvat
haa.e vo shaḳhs jo mahfil meñ bhī tanhā hogā
fikr anjām-e-mohabbat kī hai tauhīn ai 'lais'
vahī hogā mirī qismat meñ jo likkhā hogā
Top Urdushayar.com