Lais Quraishi

ye aarzu hain hum koi aarzu karte

Lais Quraishi

Ghazipur, Uttar pradesh, India

1922
ye aarzū haiñ ham koī aarzū karte
asiir ḳhud ko na ham dām-e-rañg-o-bū karte
itāb-bīñ jo hamāre haiñ nukta-chīñ ham par
kahīñ jo milte to ham khul ke guftugū karte
vo aa.ina jo kare harf-gīrī-e-kirdār
jo haath aa.e to logoñ ke rū-ba-rū karte
kahīñ surāġh-e-ḳhulūs-o-vafā agar miltā
to apnī zaat ko ham vaqf-e-justujū karte
ham aaj ashk-ba-dāmāñ jo haiñ to ronā kyā
tamām-umr hī guzrī hai hā-o-hū karte
misāl-e-ā.ina rakhte jo dil meñ aks-e-jamīl
kabhī tabāh na shīshe kī aabrū karte
ḳharāb hote ḳharābe meñ aur kyā hotā
huzūr-e-sāqī agar ham subū subū karte
hameñ bhī kaash jo taufīq-e-aizdī hotī
to ham bhī kausar-o-tasnīm se vuzū karte
yaqīñ jo hotā ki hoñge halāk sidq-o-vafā
to ehtimām se marne kī aarzū karte
hameñ bhī raas jo aatī shaguftagī dil kī
to 'lais' ham bhī kabhī jur.at-e-numū karte
Top Urdushayar.com