bārhā yūrish-e-afkār ne sone na diyā
fikr āzād hai āzār ne sone na diyā
band thiiñ dā.era-e-ḳhvāb meñ āñkheñ apnī
fikr kī gardish-e-parkār ne sone na diyā
thī tasavvur meñ nihāñ-ḳhāna-e-dil kī tasvīr
rāt-bhar dīda-e-bedār ne sone na diyā
mujh se the bar-sar-e-paikār mire zehn-o-zamīr
mujh ko bedārī-e-kirdār ne sone na diyā
koī manzar thā ki thā manzar-e-rañgīñ kā fareb
kyā kahīñ ḳhvāb-e-pur-asrār ne sone na diyā
mujh pe is tarah se raushan thī haqīqat apnī
umr-bhar chashm-e-ḳhabar-dār ne sone na diyā
maiñ ne kuchh dhuup meñ jalte hue chehre dekhe
phir mujhe sāya-e-dīvār ne sone na diyā
rāt-bhar bārish-e-ilhām rahī hai dil par
sub.h tak abr-guhar-bār ne sone na diyā
'lais' mauzū-e-suḳhan fikr-e-bashar thī ham the
aur phir garmī-e-guftār ne sone na diyā