ye mas.ala hai aur koī mas.ala nahīñ
apnā harīf maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ
kal mujh pe khul gayā tirā husn-e-munāfiqat
is sānehe ke ba.ad koī sāneha nahīñ
muflis nahīñ hai zehn-e-tahī-dast huuñ to kyā
dast-e-talab darāz kahīñ bhī kiyā nahīñ
har-gām-o-har-nafas rahe darpesh marhale
zauq-e-safar gavāh ki maiñ bhī rukā nahīñ
ai maslahat-pasand hamārā bhī tere saath
har-chand rābta hai magar rābta nahīñ
duniyā se chand roz meñ sab kuchh to mil gayā
milnā ab aur kyā hai jo ab tak milā nahīñ
mumkin nahīñ ki aa.eñ azā.em meñ laġhzisheñ
uftāda vaqt hī to hai uftād-pā nahīñ
chhoTā huuñ is liye mujhe ehsāñ haiñ sab ke yaad
mohsin ko bhuul jā.ūñ maiñ itnā baḌā nahīñ
ahvāl vāqa.ī to hai ḳhud hī zabān-e-jāñ
lekin sar-e-ġhurūr kahīñ bhī jhukā nahīñ
maiñ tujh ko yaad aa.uuñ aur aa.uuñ tamām-umr
ai dost maiñ burā huuñ par itnā burā nahīñ
jau bone vaale bo ke to jau chal diye magar
kahte haiñ ab ke fasl meñ gandum ugā nahīñ
ḳhvāb-e-baqā kī bas yahī ta.abīr hai ki 'lais'
duniyā meñ sirf ek fanā ko fanā nahīñ