muskurā saktā nahīñ aañsū bahā saktā nahīñ
zindagī ab maiñ tire ehsāñ uThā saktā nahīñ
jo shikast-e-ārzū par muskurā saktā nahīñ
zindagī kī azmatoñ kā raaz pā saktā nahīñ
tālibān-e-rañg-o-bū kāñToñ se dāman-kash na hoñ
shāḳh-e-gul tak yuuñ kisī kā haath jā saktā nahīñ
tujh se mil kar jaane kyuuñ hotā hai ye mujh ko gumāñ
tujh ko kho saktā huuñ lekin tujh ko pā saktā nahīñ
mutma.in huuñ maiñ ki zinda hai mirī tab-e-ġhayūr
merī ḳhuddārī pe koī harf aa saktā nahīñ
sham-e-giryāñ ko bhalā kyā azmat-e-ġham kī ḳhabar
koī parvāna kabhī aañsū bahā saktā nahīñ
tujh se milne kī tamannā hai ki tujh se rah ke duur
e'tibār-e-hastī-e-mauhūm aa saktā nahīñ
'lais' maiñ rakhtā huuñ pahlū meñ dil-e-dard-āshnā
bhuul kar bhī maiñ kisī kā dil dukhā saktā nahīñ