nazar kī vus.atoñ meñ kul jahāñ thā
zamīñ se duur kitnā āsmāñ thā
mirī kashtī bhañvar meñ Duub jaatī
havā kī mad pe lekin bādbāñ thā
maiñ us kī harf-gīrī kar nā paayā
vo merī zindagī kā rāzdāñ thā
tujhe pā kar tujhe khoyā hai ham ne
yahī to zindagī kā imtihāñ thā
vahī gum ho gayā raste meñ shāyad
jo rahbar thā jo mīr-e-kārvāñ thā