Mazaq Badayuni

mar kar bhi chhuTti nahin akasr lagi hui

Mazaq Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1819-1894
mar kar bhī chhūTtī nahīñ akasr lagī huī
hotī bahut barī hai muqarrar lagī huī
is shola-rū ko laag hai har dil se kyā bujhe
hai sab gharoñ meñ aag barābar lagī huī
dil kī ḳhabar jo aatī hai har dam zabān par
rahtī hai dam kī Daak barābar lagī huī
soz-e-darūñ ne phūñk diyā jism o jaan o dil
ik aag hai kaleja ke andar lagī huī
bhūle haiñ zauq-e-mai se 'mazāq' apnī jaañ to kyā
dil se hai yād-e-sāqī-e-kausar lagī huī
Top Urdushayar.com