Mazaq Badayuni

khiDki se us sanam ka jo mukhDa nazar paDa

Mazaq Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1819-1894
khiḌkī se us sanam kā jo mukhḌā nazar paḌā
tāq-e-haram se jalva ḳhudā kā nazar paḌā
saat āsmāñ kī sair hai pardoñ meñ aañkh ke
āñkheñ khulīñ to turfa tamāshā nazar paḌā
dekhā hai aañkh ne tirā jī chāhe pūchh dekh
ai dil maiñ kyā kahūñ mujhe kyā kyā nazar paḌā
insān un ko dekh ruke kyūñki aañkh se
huur o parī ko jin kā na saayā nazar paḌā
maiñ mast huuñ 'mazāq' mai-e-intizār se
saaqī na mai na jaam na miinā nazar paḌā
Top Urdushayar.com