Mazaq Badayuni

dila nahin ye mai-e-surKH-fam shishe mein

Mazaq Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1819-1894
dilā nahīñ ye mai-e-surḳh-fām shīshe meñ
bharā hai shīsha-e-jāñ kā qavām shīshe meñ
jo duuñ sharāb ko āb-e-hayāt se tashbīh
to utreñ ḳhizr alaihis-salām shīshe meñ
ḳhayāl dil meñ hai saaqī kī chashm-e-mai-gūñ kā
sharāb jaam meñ hai aur jaam shīshe meñ
shigāf-e-dil meñ bharā marham-e-mai-e-añgūr
kiyā hai kyā hī karāmat kā kaam shīshe meñ
maiñ ḳharq-e-ādat-e-pīr-e-muġhāñ kā qaa.el huuñ
ki ba.ad-e-ḳharq kiyā iltiyām shīshe meñ
khulā jo bazm meñ miinā to chāñdnī chhiTkī
ye duḳhtar-e-raz hai ki māh-e-tamām shīshe meñ
'mazāq' miltī hai in rozoñ vaqt-e-shām sharāb
rakhe hai duḳhtar-e-raz ko siyām shīshe meñ
Top Urdushayar.com