Mazaq Badayuni

waiz buton ke aage na furqan nikaliye

Mazaq Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1819-1894
vaa.iz butoñ ke aage na furqāñ nikāliye
sūrat se un kī ma.anī-e-qur.āñ nikāliye
hai dil meñ mudda.ā ki evaz jaañ nikāliye
jī khoiye pa jī kā na armāñ nikāliye
is dil meñ aise tiir haiñ kitne hī be-nishāñ
āp-apnā dekh-bhāl ke paikāñ nikāliye
hai jī meñ rakhiye aah ke sho.ala pe laḳht-e-dil
pariyoñ ke sar pe taḳht-e-sulaimāñ nikāliye
zaḳhm aur aa.e lek mirī jaañ ḳhalish na jaa.e
dil chīriye jigar se na paikāñ nikāliye
dikhlā.iye na kāvish-e-paikāñ kā intizār
nashtar se jald dīda-e-hairāñ nikāliye
rahiye 'mazāq' hashr ke maidāñ meñ surḳh-rū
mazmūn-e-rū-e-shāh-e-shahīdāñ nikāliye
Top Urdushayar.com