koī nahīñ thā hunar-āshnā tumhāre ba.ad
maiñ apne-āp se uljhā rahā tumhāre ba.ad
ye merī āñkheñ baḌī tez raushnī meñ khulīñ
maiñ chāhtā bhī to kyā dekhtā tumhāre ba.ad
har ek baat hai uljhī huī zabān tale
har ek lafz koī bad-duā tumhāre ba.ad
baḌe qarīne se rishte sajā.e the saare
bikhar bikhar gayā har silsila tumhāre ba.ad
to kyā kashish bhī mirī le ga.e tum apne saath
koī to dekhtā chehra mirā tumhāre ba.ad
tumhāre ba.ad ḳhizāñ ho bahār ho kuchh ho
kahāñ rutoñ se mirā sābiqa tumhāre ba.ad
bas ek lamha-e-hijrāñ Thahar gayā mujh meñ
na vāqi.a na koī sāneha tumhāre ba.ad
ye zindagī kā nayā zāviya khulā mujh par
maiñ ḳhud se kitnā qarīb aa gayā tumhāre ba.ad
mire mizāj kī ye be-usūliyāñ chāheñ
tumhāre jaisā koī dūsrā tumhāre ba.ad
vo rañg rañg-e-tabī.at suḳhan-suḳhan 'hāmid'
suno vo shaḳhs kahīñ kho gayā tumhāre ba.ad