vo abr sāya-fagan thā jo rahmatoñ kī tarah
kise ḳhabar thī navāzegā bijliyoñ kī tarah
us inqalāb kī dastak sunā.ī detī hai
jo bastiyoñ ko miTā degā zalzaloñ kī tarah
milā hai vo to lagā hai janam janam kā rafīq
bichhaḌ gayā thā jo bachpan ke sāthiyoñ kī tarah
mirī hai pyaas jo sahrā-ba-lab, sharar-ba-zabāñ
tumhārī aañkh hai gahre samundaroñ kī tarah
maiñ us ke qurb kī ḳhushbū se ban gayā huuñ gulāb
vo mere paas chahaktī hai bulbuloñ kī tarah
sitam-zarīf jajoñ ne hai 'saif' jhuThlāyā
hamāre ḳhuun ko jhūTī shahādatoñ kī tarah