ghar sajā.eñ to kyā tamāshā ho
aur jalā.eñ to kyā tamāshā ho
ham raqīboñ ke sāmne khul kar
muskurā.eñ to kyā tamāshā ho
baat jo aaj tak chhupā.ī thī
ab batā.eñ to kyā tamāshā ho
un ke ik ik sitam pe ham un ko
ḳhuuñ rulā.eñ to kyā tamāshā ho
shaiḳh-o-zāhid kabhī rañge hāthoñ
haath aa.eñ to kyā tamāshā ho
ham bulā kar unheñ sar-e-manzil
lauT jaa.eñ to kyā tamāshā ho