Navin C. Chaturvedi

tamam KHushk dayaron ko aab deta tha

Navin C. Chaturvedi

Mathura, Uttar pradesh, India

1968
tamām ḳhushk dayāroñ ko aab detā thā
hamārā dil bhī kabhī āsmān jaisā thā
ajiib lagtī hai mehnat-kashoñ kī bad-halī
yahāñ talak to muqaddar ko haar jaanā thā
na.e safar kā har ik moḌ bhī nayā thā magar
har ek moḌ pe koī sadā.eñ detā thā
baġhair pūchhe mire sar meñ bhar diyā maz.hab
maiñ roktā bhī to kaise ki maiñ to bachcha thā
koī bhī shakl ubharnā muhāl thā yaaro
hamāre saaye ke uupar shajar kā saaya thā
tamām umr ḳhud apne pe zulm dhāte rahe
mohabbatoñ kā asar thā ki koī nashsha thā
baḌā sukūn milā us se baat kar ke hameñ
vo shaḳhs jaise kisī jhiil kā kināra thā
bas ek vaar meñ duniyā ne kar diye TukḌe
mirī tarah se mirā ishq bhī nihattā thā
alāva is ke mujhe aur kuchh malāl nahīñ
vo maan jā.egā is baat kā bharosa thā
Top Urdushayar.com