Navin C. Chaturvedi

hum wahi nadan hain jo KHwabon ko dhar kar tak par

Navin C. Chaturvedi

Mathura, Uttar pradesh, India

1968
ham vahī nādāñ haiñ jo ḳhvāboñ ko dhar kar taak par
jāgte hī roz rakh detā hai ḳhud ko chaak par
dil vo dariyā hai jise mausam bhī kartā hai tabāh
kis tarah ilzām dhar deñ ham kisī tairāk par
ham to us ke zehn kī uryāniyoñ par mar miTe
daad agarche de rahe haiñ jism aur poshāk par
ham ba-ḳhūbī jānte haiñ bas hamāre jaate hī
kaise kaise gul khileñge us badan kī ḳhaak par
baat aur bevhār hī se jaan sakte haiñ ise
ilm kī imlā likhī jaatī nahīñ poshāk par
Top Urdushayar.com