chaḌhā kar tiir nazroñ kī kamāñ par
hasīnoñ ke qadam haiñ āsmāñ par
har ik lamha lage vo aa rahe hai
yaqīñ baḌhtā hī jaatā hai gumāñ par
koī va.ada vafā ho jaa.e shāyad
bharosa aaj bhī hai jān-e-jāñ par
utartī hī nahīñ bosoñ kī lazzat
abhī tak svaad rakkhā hai zabāñ par
kisī kī ruuh pyāsī rah na jaa.e
lihāzā ġham baraste hai jahāñ par
agar bhaTkā to us ko chhoḌ deñge
nazar rakkhe hue haiñ kārvāñ par
amaañ ham bhī kirā.e-dār hī haiñ
bhale hī naam likkhā hai makāñ par