aur ta.āruf hamārā ho bhī kyā
ik shanāvar jo Duub tak na sakā
kuchh bhañvar yuuñ uchaT paḌe the jyuuñ
ḳhud-kushī par ho koī āmāda
ik bagūle kī baat thoḌī hai
har bagūle ne gard ko rauñdā
bulbule sat.h-e-āb ko chhū kar
ham ko duniyā kā de ga.e naqsha
vo to sāñsoñ ne shāmeñ sulgā.īñ
aadmī ko ye ilm hī kab thā
ab havāoñ ke daam khulne haiñ
ḳhushbuoñ kā to ho chukā saudā
ab vo ḳhud ko samajhte haiñ sūraj
jin sitāroñ kā chāñd maamā thā