Hamid Iqbal Siddiqui

zaban izhaar lahja bhul jaun

Hamid Iqbal Siddiqui

Mumbai, Maharashtra, India

1958
zabāñ iz.hār lahja bhuul jā.ūñ
mire ma.abūd kyā kyā bhuul jā.ūñ
bikhar jā.ūñ zamīñ se āsmāñ tak
phir aisā ho simaTnā bhuul jā.ūñ
maiñ terā naam itnī baar likkhūñ
ki apnā naam likhnā bhuul jā.ūñ
tirī parchhā.īñ to le aa.uuñ ghar tak
kahīñ apnā hī saaya bhuul jā.ūñ
tirī āvāz to pahchān lūñgā
ye mumkin hai ki chehra bhuul jā.ūñ
kabhī ye bhī to ho bhaTkūñ jahāñ meñ
aur apne ghar kā rasta bhuul jā.ūñ
junūn-e-bandagī kī laaj rakhnā
agar ādāb-e-sajda bhuul jā.ūñ
maiñ kab tak sochtā rahtā jahāñ ko
yahī behtar thā jiinā bhuul jā.ūñ
Top Urdushayar.com