koī sāzish racho zer-o-zabar kī baat mat socho
riyā-kāroñ meñ tum apne hunar kī baat mat socho
ye hijrat thī muqaddar lāzmī thā chhūTnā sab kuchh
marāsim rābte ghar aur nagar kī baat mat socho
sabab koī bhī ho lekin lahū taqsīm honā thā
ye sarhad hai idhar tum ho udhar kī baat mat socho
yahī ik koTharī apne liye āñgan hai baiThak hai
agar is shahr meñ jiinā hai ghar kī baat mat socho
tumhāre saare mansūboñ kā nasloñ par ahāta hai
sadā aatī hai umr-e-muḳhtasar kī baat mat socho
mizājoñ par garāñ ho koī lekin rābta rakhnā
yahī tahzīb hai is se mafar kī baat mat socho
ye mumkin hai ḳhizāñ ke ba.ad bhī mausam na raas aa.e
to aisā bhī nahīñ barg-o-samar kī baat mat socho