Akhtar Muslimi

mere waste jahan mein koi dilkashi nahin hai

Akhtar Muslimi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1928-1989
mire vāste jahāñ meñ koī dilkashī nahīñ hai
ki tire baġhair jiinā koī zindagī nahīñ hai
tirī zaat ke alāva mujhe aur chahiye kyā
tū agar hai saath mere mujhe kuchh kamī nahīñ hai
vo nazar nazar nahīñ hai na ho jis meñ aks terā
koī dil hai vo bhī jis meñ ġham-e-āshiqī nahīñ hai
koī vāsta nahīñ hai jise dard-e-dīgarāñ se
vo hai aadmī kā paikar magar aadmī nahīñ hai
mire dosto na dekho mujhe chashm-e-ḳhashmagīñ se
ki rahīn-e-bāda-noshī mirī be-ḳhudī nahīñ hai
mire dil ke daaġh tū hī zarā aur lau baḌhā de
shab-e-ġham hai tiira tiira kahīñ raushnī nahīñ hai
mirī baat sun ke 'aḳhtar' sunī an-sunī na kar do
ye hadīs-e-jān-o-dil he nirī shā.irī nahīñ hai
Top Urdushayar.com