kahāñ jaa.eñ chhoḌ ke ham use koī aur us ke sivā bhī hai
vahī dard-e-dil bhī hai dosto vahī dard-e-dil kī davā bhī hai
mirī kashtī laakh bhañvar meñ hai na karūñgā maiñ tirī minnateñ
ye patā nahīñ tujhe nāḳhudā mire saath merā ḳhudā bhī hai
ye adā bhī us kī ajiib hai ki baḌhā ke hausla-e-nazar
mujhe izn-e-dīd diyā bhī hai mire dekhne pe ḳhafā bhī hai
mirī samt mahfil-e-ġhair meñ vo adā-e-nāz se dekhnā
jo ḳhatā-e-ishq kī hai sazā to mirī vafā kā sila bhī hai
jo hujūm-e-ġham se hai aañkh nam to laboñ pe naale haiñ dam-ba-dam
use kis tarah se chhupā.eñ ham kahīñ rāz-e-ishq chhupā bhī hai
ye bajā ki 'aḳhtar'-e-muslimī hai zamāne bhar se burā magar
use dekhiye jo ḳhulūs se to bhaloñ meñ ek bhalā bhī hai