kis ko kahte haiñ jafā kyā hai vafā yaad nahīñ
ai mohabbat mujhe kuchh tere sivā yaad nahīñ
dekhiye hotī hai kis tarah shab-e-ġham kī sahar
ab to ai dard-e-jigar koī duā yaad nahīñ
ho ga.ī ḳhatm rah-o-rasm-e-mohabbat shāyad
maiñ vafā bhuul gayā un ko jafā yaad nahīñ
yuuñ bhī kar sakte ho barbād-e-mohabbat pe karam
ham ne maanā ki tumheñ ahd-e-vafā yaad nahīñ
dil-e-dīvāna pe ilzām lagāne vaale
jis ne dīvāna banāyā vo adā yaad nahīñ
jis se 'aḳhtar' ho mire dard-e-mohabbat kā ilaaj
kyā masīhā-nafasoñ ko vo davā yaad nahīñ