dil hī rah-e-talab meñ na khonā paḌā mujhe
haath apnī zindagī se bhī dhonā paḌā mujhe
ik din meñ hañs paḌā thā kisī ke ḳhayāl meñ
tā-umr itnī baat pe ronā paḌā mujhe
ik baar un ko paane kī dil meñ thī aarzū
sau baar apne aap ko khonā paḌā mujhe
barbād ho gayā huuñ magar mutma.in hai dil
sharminda-e-karam to na honā paḌā mujhe
dekhī ga.ī na mujh se jo tūfāñ kī bebasī
kashtī ko apnī aap Dubonā paḌā mujhe
jalve kahāñ kisī ke bisāt-e-nazar kahāñ
zarre meñ āftāb samonā paḌā mujhe
'aḳhtar' junūn-e-ishq ke māroñ ko dekh kar
ahl-e-ḳhirad hañse haiñ to ronā paḌā mujhe