āñsuoñ ke tūfāñ meñ bijliyāñ dabī rakhnā
sard sard aahoñ meñ garmiyāñ dabī rakhnā
kaifiyat ġham-e-dil kī ho ayaañ na chehre se
parda-e-tabassum meñ talḳhiyāñ dabī rakhnā
kaun sunñe vaalā hai be-hisoñ kī duniyā meñ
apne ġham kī siine meñ dāstāñ dabī rakhnā
kis qadar anokhā hai sheva ahl-e-duniyā kā
mīThī mīThī bātoñ meñ talḳhiyāñ dabī rakhnā
ḳhuub hai tumhārā bhī ye kalām-e-fan 'aḳhtar'
saada saada sheroñ meñ shoḳhiyāñ dabī rakhnā