judā.iyoñ ke tasavvur hī se rulā.ūñ use
maiñ jhūT-mūT kā qissa koī sunā.ūñ use
use yaqīn hai kitnā mirī vafāoñ kā
ḳhilāf apne kisī roz varġhalā.ūñ use
vo taptī dhuup meñ bhī saath mere aa.egā
magar maiñ chāñdnī-rātoñ meñ āzmā.ūñ use
ġhamoñ ke sahrā meñ phirtā rahūñ use le kar
udāsiyoñ ke samundar meñ saath lā.ūñ use
maza to jab hai use bhiiḌ meñ kahīñ kho duuñ
phir us ke ba.ad kahīñ se maiñ DhūñD lā.ūñ use
ye kyā ki roz vahī soch par musallat ho
kabhī to aisā ho kuchh der bhuul jā.ūñ use
kuchh aur ḳhvāb bhī us se chhupā ke dekhe haiñ
kuchh aur chehre nigāhoñ meñ haiñ dikhā.ūñ use
vo giilī miTTī kī mānind hai magar 'hāmid'
zarūrī kyā hai ki apnā hī sā banā.ūñ use