dariyā nazar na aa.e na sahrā dikhā.ī de
josh-e-junūñ ho jis ko use kyā dikhā.ī de
maiñ aa gayā kahāñ ki ye hasrat nazar ko hai
ai kaash is jagah koī apnā dikhā.ī de
ḳhandāñ-jabīñ laboñ pe hañsī pur-ḳhulūs dil
daur-e-tarab meñ koī to aisā dikhā.ī de
ḳhvāhāñ haiñ vo ki saarā zamāna ho un ke saath
auroñ ko chāhte haiñ ki tanhā dikhā.ī de
'aḳhtar' ko dekhte nahīñ achchhī nazar se aap
phir bhī ye chāhte haiñ ki achchhā dikhā.ī de