tum the ḳhudā thā aur mujassam duā thā maiñ
yūñhī tumhāre naam na likkhā gayā thā maiñ
ḳhvāhish ke phailte hue manzar meñ tum hī tum
jazboñ ke ik hisār meñ simTā huā thā maiñ
kuchh ye bhī thā ki tum ne mujhe āsmāñ kiyā
kuchh yuuñ bhī thā ki ḳhud meñ kahīñ kho gayā thā maiñ
tum ne hī naqsh naqsh kiyā har lakīr ko
varna ḳhud apne ruup kahāñ jāntā thā maiñ
ik tum hī jānte the mirī saarī ādateñ
be-sāḳhta mizāj thā kab sochtā thā maiñ
maiñ tum ko dekhtā thā kisī aur ruup meñ
vahshat-zada the ḳhvāb magar dekhtā thā maiñ
phir tum bhī ho ga.e mire maazī kā ek baab
phir qasr-e-e'tibār meñ tanhā khaḌā thā maiñ