Hamid Iqbal Siddiqui

manzil kahan hai dur talak raste hain yar

Hamid Iqbal Siddiqui

Mumbai, Maharashtra, India

1958
manzil kahāñ hai duur talak rāste haiñ yaar
kis justujū meñ ḳhvāb ke ye qāfile haiñ yaar
pal pal badaltā rahtā hai tahzīb kā mizāj
lamhoñ kī dastaras meñ ajab silsile haiñ yaar
hai sābiqa hazār marāhil se aur phir
is zindagī ke ba.ad bhī kuchh marhale haiñ yaar
tū hī batā tujhe maiñ rakhūñ kis shumār meñ
achchhe-bure sabhī se mire rābte haiñ yaar
haañ tujh se bevafā.ī kī ummīd to nahīñ
par sach kahūñ to dil meñ ka.ī vāhime haiñ yaar
ḳhvāhish kā ehtirām hai jazboñ kī aañch bhī
nīñdoñ kā ehtimām hai aur ratjage haiñ yaar
nazmeñ kahāñ haiñ falsafe manzūm haiñ tamām
ġhazleñ kahāñ haiñ ishq ke sab marsiye haiñ yaar
ahbāb rishte-dār sabhī mumbai meñ haiñ
lekin diloñ ke beach baḌe fāsle haiñ yaar
Top Urdushayar.com