Hamid Iqbal Siddiqui

jazb ki sab intihaon ka tamasha har-taraf

Hamid Iqbal Siddiqui

Mumbai, Maharashtra, India

1958
jazb kī sab intihāoñ kā tamāshā har-taraf
tum kahā the tum nahīñ the maiñ hī maiñ thā har-taraf
ye mire dil meñ simaT aa.egī ik din dekhnā
tum ne kis aalam meñ phailā.ī thī duniyā har-taraf
dasht meñ bhī aa mile the kā.enātī silsile
vahshatoñ ne kar diyā thā merā charchā har-taraf
tum ne mere dar pe lā chhoḌā use achchhā kiyā
varna yuuñ hī be-sabab ye ġham bhaTaktā har-taraf
mere haq meñ to har-ik mausam ḳhizāñ-āsār thā
kis kī sannā.ī ne gul-manzar sajāyā har-taraf
Top Urdushayar.com