Surender Shajar

ashk aankhon mein chhupa leta hun main

Surender Shajar

ashk āñkhoñ meñ chhupā letā huuñ maiñ
ġham chhupāne ke liye hañstā huuñ maiñ
sharm aatī thī kabhī tujh se mujhe
zindagī ab ḳhud se sharminda huuñ maiñ
muddatoñ se ā.īna dekhā nahīñ
koī batlā.e mujhe kaisā huuñ maiñ
ġham ḳhushī vahshat pareshānī sakūñ
saikḌoñ chehroñ kā ik chehra huuñ maiñ
hai mujhī meñ ham-nafas merā koī
saañs vo letā hai aur zinda huuñ maiñ
itne khaa.e haiñ sarāboñ se fareb
sāmne dariyā hai aur pyāsā huuñ maiñ
yaad aayā hai mujhe ik ham-safar
jab kabhī is raah se guzrā huuñ maiñ
chaar jānib ek sannāTā sukūt
ġhāliban bastī meñ ab tanhā huuñ maiñ
mujh ko chhūne kā na kar armāñ 'shajar'
to mujhe mahsūs kar kaisā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com