Aqeel Shah

galiyon mein lahu-rezi ka kuchh hal nikal aae

Aqeel Shah

Kohat, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1980
galiyoñ meñ lahū-rezī kā kuchh hal nikal aa.e
log is liye ḳhud jānib-e-maqtal nikal aa.e
maiñ kāsa-ba-dastoñ ke qabīle kā huuñ lekin
ḳhush-qismatī se haath mire shal nikal aa.e
rone se mujhe ḳhalq-e-ḳhudā rok rahī thī
phir merī taraf-dārī meñ bādal nikal aa.e
ik sat.h-e-mohabbat pe khaḌā soch rahā huuñ
aisā na ho ye jhiil bhī daldal nikal aa.e
afsos ki ab bhī haiñ tire daam meñ kuchh kuchh
ham samjhe the is baar mukammal nikal aa.e
ābād rahe shahr-e-ḳhamoshāñ kise ma.alūm
mujh aisā musāfir yahāñ kis pal nikal aa.e
Top Urdushayar.com