Aqeel Shah

KHamida rah ko sidha ghalat bataya hai

Aqeel Shah

Kohat, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1980
ḳhamīda raah ko sīdhā ġhalat batāyā hai
kisī ne andhoñ ko rasta ġhalat batāyā hai
zarūr chor thā is marne vaale ke dil meñ
tabhī ḳhazāne kā naqsha ġhalat batāyā hai
maiñ ek baat batātā magar buzurgoñ ne
har ek baat batānā ġhalat batāyā hai
yahāñ pe rahtā nahīñ koī qais naam kā shaḳhs
kisī ne aap ko sahrā ġhalat batāyā hai
ye ziist vāqa.ī mushkil hai yā mujhe dil ne
guzārne kā tarīqa ġhalat batāyā hai
hamārī dar-badarī kyuuñ pasand hai us ko
na-jāne kyuuñ patā apnā ġhalat batāyā hai
jadīd daur ke darvesh haiñ 'aqīl' hamīñ
harīf ne sag-e-duniyā ġhalat batāyā hai
Top Urdushayar.com