ek hī dasht thā vo bhī na khañgālā maiñ ne
dil pe lenā nahīñ thā paañv kā chhālā maiñ ne
ghar ke Dah jaane meñ ġhaflat mirī shāmil thī magar
saarā malba dar-o-dīvār pe Daalā maiñ ne
kaash maiñ apne azā-dāroñ ko batlā saktā
kaisā dukh thā vo jise maut se Taalā maiñ ne
āḳhir-e-kār ġhulāmī se baġhāvat kar dī
aur zanjīr ko shamshīr meñ Dhālā maiñ ne
yuuñ to har shaḳhs yahāñ aañkh liye phirtā hai
par nahīñ dekhā koī dekhne vaalā maiñ ne
aur phir ik roz hamesha ke liye kho gayā maiñ
ya.anī ik roz use DhūñD nikālā maiñ ne