usī ko dost rakhā dūsrā banāyā nahīñ
ka.ī banāte haiñ maiñ ne ḳhudā banāyā nahīñ
ye bastī raat kā kis tarah sāmnā karegī
yahāñ kisī ne bhī din meñ diyā banāyā nahīñ
patā karo ki ye naqqāsh kis qabīl kā hai
parinda jab bhī banāyā rihā banāyā nahīñ
ye log zulm kamā kar shab aise sote haiñ
ḳhudā ne jaise ki roz-e-jazā banāyā nahīñ
lahū bhī jaltā hai jhaḌtī hai ḳhaak bhī merī
ki sher utartā hai lekin banā-banāyā nahīñ
vo mehrbāñ hai magar bhūltā nahīñ mujh ko
vo ek kaam jo us ne mirā banāyā nahīñ
udaas dekhā nahīñ jaatā koī mujh se 'aqīl'
kisī ko is liye hāl-āshnā banāyā nahīñ