Aqeel Shah

koi to rah sujha dur tak andhera hai

Aqeel Shah

Kohat, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1980
koī to raah sujhā duur tak añdherā hai
kahāñ hai mere ḳhudā duur tak añdherā hai
mirā ḳhayāl thā kuchh aage raushnī ho gī
maiñ jāntā nahīñ thā duur tak añdherā hai
kisī kī khoj meñ niklā huuñ mehr-o-māh liye
hai iltimās-e-duā duur tak añdherā hai
na hogā tai ye safar sirf raushan āñkhoñ se
charāġh-e-dil bhī jalā duur tak añdherā hai
nazar ke sāmne the an-ginat sitāre magar
faqīr kahtā rahā duur tak añdherā hai
hamāre haath kī rekhā.eñ kyā batātī haiñ
hameñ batā.iye kyā duur tak añdherā hai
'aqīl' pahle to bīnā.ī kī bashārat dī
phir us ne mujh se kahā duur tak añdherā hai
Top Urdushayar.com