rāh-e-vafā pe kam haiñ ḳhasāre hamāre dost
haiñ is safar ke apne sitāre hamāre dost
kuchh saañp chāhiye the ḳhazāne ke vāste
itne meñ āstīñ se pukāre hamāre dost
ik din sambhal hī jaatā hai duniyā se haarā shaḳhs
lekin jo apne-āp se haare hamāre dost
dushman kī ham ko koī zarūrat nahīñ paḌī
kīna-ba-sīna phirte haiñ saare hamāre dost
ham ne ġhazal kī oT se sab kuchh batā diyā
lekin samajh na paa.e ishāre hamāre dost