Aqeel Shah

mere dukh dard har ek aankh se ojhal paDe the

Aqeel Shah

Kohat, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1980
mire dukh dard har ik aañkh se ojhal paḌe the
shukr-sad-shukr ki bas ruuh pe hī bal paḌe the
kisī maqsad se tire paas nahīñ aa.e haiñ
kahīñ jaanā hī thā so terī taraf chal paḌe the
ek maiñ hī nahīñ shab chhat pe basar kartā thā
chāñd ke pīchhe ka.ī aur bhī pāgal paḌe the
kaisā nazzārā thā kohsāroñ kī shahzādī kā
baam par vo khaḌī thī farsh pe bādal paḌe the
jald-bāzoñ ne bichhaḌne meñ baḌī ujlat kī
ek ik mas.ale ke varna ka.ī hal paḌe the
ḳhud se ḳhud tak kā safar sahl nahīñ thā itnā
rāste meñ ka.ī dariyā ka.ī jañgal paḌe the
ijz ke ashk bahāte hue shab so gayā maiñ
sub.h uTThā to mire kaam mukammal paḌe the
dhyān tayyārī kā aayā hī nahīñ ham ko 'aqīl'
safar-e-ishq thā be-raḳht-e-safar chal paḌe the
Top Urdushayar.com