Faizi

jaanta hun ki kai log hain behtar mujhse

Faizi

1965
jāntā huuñ ki ka.ī log haiñ behtar mujh se
phir bhī ḳhvāhish hai ki dekho kabhī mil kar mujh se
sochtā kyā huuñ tire baare meñ chalte chalte
tū zarā pūchhnā ye baat Thahar kar mujh se
maiñ yahī soch ke har haal meñ ḳhush rahtā huuñ
ruuTh jaa.e na kahīñ merā muqaddar mujh se
mujh pe mat chhoḌ ki phir ba.ad meñ pachhtā.egā
faisle Thiik hī ho jaate haiñ akasr mujh se
raat vo ḳhuun rulātī hai udāsī dil kī
rone lagtā hai lipaT kar mirā bistar mujh se
ahd-e-āġhāz-e-mohabbat tire anjām kī ḳhair
ab uThā.e nahīñ uThtā hai ye patthar mujh se
Top Urdushayar.com