jo dil ko pahle mayassar thā kyā huā us kā
jo is sukūn se behtar thā kyā huā us kā
kahāñ liye chalī jaatī hai mujh ko vīrānī
yahīñ kahīñ pe mirā ghar thā kyā huā us kā
kuchh aise ashk piye haiñ ki ab ḳhabar hī nahīñ
is aañkh meñ jo samundar thā kyā huā us kā
nazar ga.ī so ga.ī par koī batā.e mujhe
baḌe kamāl kā manzar thā kyā huā us kā
ye sochne nahīñ detā sitamgaroñ kā hujūm
ki vo jo pahlā sitam-gar thā kyā huā us kā
maiñ sub.h ḳhvāb se jaagā to ye ḳhayāl aayā
jo raat mere barābar thā kyā huā us kā
maiñ jis ke haath lagā huuñ use mubārak ho
magar jo merā muqaddar thā kyā huā us kā