achchhā hai tū ne in dinoñ dekhā nahīñ mujhe
duniyā ne tere kaam kā chhoḌā nahīñ mujhe
haañ Thiik hai maiñ bhūlā huā huuñ jahān ko
lekin ḳhayāl apnā bhī hotā nahīñ mujhe
ab apne āñsuoñ pe hai sairābi-e-hayāt
kuchh aur is falak pe bharosā nahīñ mujhe
hai mehrbāñ koī jo kiye jā rahā hai kaam
varna ma.āsh kā to salīqa nahīñ mujhe
ai rah-guzār-e-silsila-e-ishq-e-be-lagām
jaanā kahāñ hai tū ne batāyā nahīñ mujhe
hai to mirā bhī naam sar-e-fahris-e-junūñ
lekin abhī kisī ne pukārā nahīñ mujhe