is liye dil burā kiyā hī nahīñ
zindagī merā faisla hī nahīñ
is qadar shor thā mire sar meñ
apnī āvāz par rukā hī nahīñ
baḌī ḳhvāhish thī mujh ko hone kī
ho gayā huuñ to kuchh huā hī nahīñ
zulm kartā huuñ zulm sahtā huuñ
maiñ kabhī chain se rahā hī nahīñ
paḌ gayā hai ḳhudā se kaam mujhe
aur ḳhudā kā koī pata hī nahīñ
toḌ Daalo ye haath paañv mire
jism kā to muqābla hī nahīñ
tum kahāñ ho zarā sadā to do
is se aage to rāsta hī nahīñ