dil-e-ābād kā barbād bhī honā zarūrī hai
jise paanā zarūrī hai use khonā zarūrī hai
mukammal kis tarah hogā tamāsha barq-o-bārāñ kā
tirā hañsnā zarūrī hai mirā ronā zarūrī hai
bahut sī surḳh āñkheñ shahr meñ achchhī nahīñ lagtīñ
tire jaage huoñ kā der tak sonā zarūrī hai
kisī kī yaad se is umr meñ dil kī mulāqāteñ
ThiThurtī shaam meñ ik dhuup kā konā zarūrī hai
ye ḳhud-sar vaqt le jaa.e kahānī ko kahāñ jaane
musannif kā kisī kirdār meñ honā zarūrī hai
janāb-e-dil bahut nāzāñ na hoñ dāġh-e-mohabbat par
ye duniyā hai yahāñ ye daaġh bhī dhonā zarūrī hai