hamāre shahr-e-adab meñ chalī havā kyā hai
ye kaisā daur hai yārab hameñ huā kyā hai
usī ne aag lagā.ī hai saarī bastī meñ
vahī ye pūchh rahā hai ki mājrā kyā hai
ye terā zarf ki tū phir bhī bad-gumāñ na huā
sivā.e dard ke maiñ ne tujhe diyā kyā hai
lapak ke chhīn le haq apnā kam-savādoñ se
baḌhā ke haath uThā jaam dekhtā kyā hai
bhulā diyā hai jo tum ne to koī baat nahīñ
magar maiñ jāntā āḳhir mirī ḳhatā kyā hai
ajiib shaḳhs hai kirdār māñgtā hai mirā
sivā.e is ke mire paas ab bachā kyā hai
kured kar mere zaḳhmoñ ko yuuñ savāl na kar
tujhe ḳhabar hai to phir mujh se pūchhtā kyā hai
matā-e-ġham ko bachā rakh chhupā ke siine meñ
tū is ḳhazāne ko auroñ meñ bāñTtā kyā hai
hazār ne.amateñ us ne tujhe atā kī haiñ
ab aur 'chāñd' tū is dar se māñgtā kyā hai