kuchh ab ke baras aur havāoñ kā chalan hai
bojhal hai fazā vaqt ke māthe pe shikan hai
detī haiñ dhuāñ ab bhī sulagtī huī shāmeñ
māhaul pe chhā.ī huī vaisī hī ghuTan hai
ubhrī hai phir ik Dūbte manzar kī koī yaad
sañgīt kī lai hai ki ye sūraj kī kiran hai
nikhrā hai tirā ruup mire sheroñ meñ Dhal kar
sañvrā huā merā bhī har ik naqsh-e-suḳhan hai
mahkī huī sāñsoñ meñ basī hai koī mūrat
ḳhushbu-e-badan hai ki ye ḳhushbū kā badan hai
siine se lagā lo ise palkoñ pe sajā lo
ai 'chāñd' ye biite hue lamhoñ kī chubhan hai