jo nekiyoñ se badī kā javāb detā hai
ḳhudā bhī us ko sila be-hisāb detā hai
usī ke hukm se ghar-bār ujaḌ bhī jaate haiñ
vahī phir un ko basāne ke ḳhvāb detā hai
bashar pe qarz jo hote haiñ kār-hā-e-jahāñ
tamām-umr vo un kā hisāb detā hai
ġharaz ye hai na ho fikr-o-amal meñ kotāhī
ḳhudā diloñ ko agar iztirāb detā hai
qusūr is meñ bhī hai vāldain kā shāyad
jo bachchā un ko palaT kar javāb detā hai
kaTī hai umr azāboñ meñ dekhnā hai ab
mazīd kyā dil-e-ḳhāna-ḳharāb detā hai
vo āzmātā hai kāñToñ se sabr insāñ kā
phir us ke ba.ad mahakte gulāb detā hai
savāl dīd-o-mulāqāt kar chuke haiñ 'chāñd'
ab aage dekhiye vo kyā javāb detā hai