Mahendra Partap Chand

jacha na kuchh bhi nigahon ko muntaha ke siwa

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935
jachā na kuchh bhī nigāhoñ ko muntahā ke sivā
jhukā ye sar na kahīñ un ke naqsh-e-pā ke sivā
hazār minnateñ kiiñ laakh haath phailā.e
milā na kuchh bhī magar zaḳhm-e-iltijā ke sivā
sivā.e us ke nahīñ aur kuchh bhī paas mire
tujhe maiñ duuñ bhī to kyā dost ab duā ke sivā
yahī havas hai ki saarā jahāñ ho zer-e-nagīñ
jahāñ meñ kuchh bhī nahīñ aur is havā ke sivā
ḳhulūs shart hai avval bhī aur āḳhir bhī
dayār-e-ishq meñ sab hech hai vafā ke sivā
laboñ pe harf-e-vafā hai diloñ meñ bair magar
kahūñ maiñ kyā use yāroñ kī ik adā ke sivā
aziiz kyuuñ na ho ai 'chāñd' mujh ko ye daulat
bachā bhī kyā hai mire paas ab anā ke sivā
Top Urdushayar.com