Alok Mishra

jazb kuchh titliyon ke par mein hai

Alok Mishra

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1985
jazb kuchh titliyoñ ke par meñ hai
kaisī ḳhushbū sī us color meñ hai
aane vaalā hai koī sahrā kyā
gard hī gard rahguzar meñ hai
jab se dekhā hai ḳhvāb meñ us ko
dil musalsal kisī safar meñ hai
chhū ke gaaḌī baġhal se kyā guzrī
be-ḳhayālī sī ik nazar meñ hai
maiñ bhī bikhrā huā huuñ apnoñ meñ
vo bhī tanhā sā apne ghar meñ hai
raat tum yaad bhī nahīñ aa.e
phir udāsī sī kyuuñ sahar meñ hai
us kī ḳhāmoshī gūñjtī hogī
shor barpā jo dil-khañDar meñ hai
haath sar par vo shāḳheñ rakhtī haiñ
koī apnā sā us shajar meñ hai
Top Urdushayar.com