bujhtī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb kā bosa rakkhā
raat phir ham ne añdheroñ meñ ujālā rakkhā
zaḳhm siine meñ to āñkhoñ meñ samundar Thahrā
dard ko maiñ ne mujhe dard ne zinda rakkhā
saath rahtā thā magar saath nahīñ thā mere
us kī qurbat ne bhī akasr mujhe tanhā rakkhā
vaqt ke saath tujhe bhuul hī jaatā lekin
ik hare ḳhat ne mire zaḳhm ko taaza rakkhā
merā īmāñ na Tikā pā.īñ hazāroñ shakleñ
merī āñkhoñ ne tire pyaar meñ roza rakkhā
kyā qayāmat hai ki terī hī tarah se mujh se
zindagī ne bhī bahut duur kā rishta rakkhā